Ramayan aur Mahabharat ke sabak
Ramayan aur Mahabharat hamare samaj ke liye mehaz dharma granth nahi hain, inn dono mahakavyon me hamari zindagi se judi har samasyaon ke, har kism ke sawalon ke jawab milte hain. Ramayan aur Mahabharata me wo sab kuch hai jo kisi masamnya insan ki zindagi me ghata hai ya ghat sakta hai. Vyakti ke khud ke jeevan me, pariwar me, Khandan me, samaj aur desh me, Dharma aur rajneeti me jo kuch bhi hota hai, us se jude har pehlu ke sabak in dono kitabon me hain, Inme wo bhi hai jisko hum aadhyatmik samasyaen kehte hain.Inme mamta hai, Daya hai, pratishodh hai, rishton ke apnapan hai to khoon ke rishton ko bhi tar tar kar dene wali asamvedansheel ghatnayein bhi hai. Asal me Mahabharata me jeevan, Dharma, Rajneeti, samajdesh gyan vigyan jaise vishyon e jude sabak hain to Ramayana humko jeevan ke adarsh aur usey jeene ka shreshta marg batati hai. Ramayana aur Mahabharata ki Shikshayein har samay zaruri rahin hain aur aaj bhi hain.