Jal Taran
Vinayak desh ka ubharta hua aur pragatisheel vicharo wala neta hai, desh main paani ki kami par kaam karna uska dhyey hai. Jaise- jaise Vinayak rajaneeti main safalta ke paaydaan chadhta hai uske siddhant aur zameer use dhoka dene lagte hai aur Jeevan, use ek bhayankar vyangya se uska parichay karvaata hai. Jal-Taran, isi vyangya ki kahaani hai.